Wednesday

Zindagi main har dam Hastey Raho

Zindagi main har dam Hastey Raho ,
Hasna Zindagi ki Zarurat hai ,
Zindagi ko is Andaz Main
Jiyo Ki Dekh Kar Log kahey
Ki Zindagi Kitni Khubsurat hai !!!!!!!

Zindagi Sagar hai ,
Dost Laher Hai ,
aur Dil Kinara .
Ye Zaroori nahi................
K Sagar me Kitni Lehren hai ,
Zaroori ye hai k kaun
si Leher Kinarey Ko Chuti Hai !!!!!!!

Apni Yaadein apni Batain lay k jana Bhool Gaya

Apni Yaadein apni Batain lay k jana Bhool Gaya
Janay wala jaldi main tha mil kay jana bhool gaya



Mur mur kay yun dekh raha tha jatay jatay rastay main
jaise us nay kehna tha jo wo kehna bhool gaya



Waqat-e-Rukhsat mery ankhain pohanch raha tha Hathon Say
Us ko Gham tha itna ziada khud wo Rona Bhool gaya.

Mohabbat mein to kehate hai sab main tod laoonga chand bhi

AAO CHAAND MEIN GHAR BASAYE
=================================================
Mohabbat mein to kehate hai sab main tod laoonga chand bhi
Lekin main kehata hoon sanam chalo hum ghar basaye chaand mein
Socho zara kaisa hoga woh aalam jab chaand mein hoga apna ghar
Jahan koi na ho dushman mohabbat ke aur na humko kisi ka bhi darr
Sochta hoon main sanam kaisa hoga apna ghar chaand mein
Jahan par honge sirf main aur tum aur koi na ayega humein taakne
Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ki baahon mein
Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke
Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi
Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi
Har raat apni hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge
Bas ek duje ki baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge
Socho zara kya sochenge duniya wale jab woh dekhenge chand ko ek chand mein
Chand bhi sharma jaayega sanam dekh kar chand sa mukda tera
Taare sab kehate rahenge na jaane kahan chali gayee hamari roshni
Roshni hamari ghum ho gayee hai jab se chand mein aayi hai chand si ek pari
Humko abhi na zarurat hai holi ki na zarurat hai humein diwali ki
Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saath ki
Jab tum rahoge saath mere har din hoga holi aur raat diwali ki
Bas sanam tera saath jo mile to main samjhoonga meri kismat khil gayee

Yaar Teri Yaari Mein Chut Gaya Khuda Bhee

Yaar Teri Yaari Mein Chut Gaya Khuda Bhee
Din Bhee Ghar Barr Bhee Aur Khud Pe Ikhtiar Bhee

Dost To Chut Hi Gaye Thay Rooth Gaye Ab Aap Bhee
Reh Ke Ik Tanha Main Lo Maine Bhee Haar Maan Lee

Ab Raat Hai Tanhaai Hai Ghum Hai Uski Gehraai Hai
Sab Bhool Gaye Kuch Yaad Nahi Mit Gaya Har Khyal Bhee

Us Pe Khuda Ka Zulm Dekho Neend Na Aai Aaj Bhee
Mudat Se Hina Ko Aas Hai Poora Ho Ga Khwab Kabhie

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai

K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai

Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta

Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

Tum Kehti Ho Mujhay.

Tum Kehti Ho Mujhay....

Phoolon Say Pyaar Hai....?

Magar Jab Phool Khiltay Hain To Unhain Tehni Say Tor Dalti Ho....

Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?

Magar Jab Baarish Hoti Hai To Chuppti Phirti Ho....

Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?

Magar Jab Hawa Chalti Hai Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho...

Phir Us Waqt....

Main Khof Zada Sa Ho Jata Hoon Jab Tum.....

Mujh Se Kehti Ho Mujhay Tum Say Pyar Hai.....

Wo Sabse Alag Hai, Sabse Juda Hai

Wo Sabse Alag Hai, Sabse Juda Hai
Wo sabse alag hai, wo sabse juda hai,
wo meri duniya hai wo mera jahan hai,

main zameen hon, wo mera asman hai,
main jidhar dekhta hon wo har jagah hai.

wo hai tohar tarf khushi ka samaa hai,
bin uske chayi rehti har soo kaali ghata hai.

sochta usse kaise bataon, kaise dikhaon,
mere liye zameen pe wo roop-e-khuda hai.

wo bhi chahta mujhe behad bepanah hai,
meri bhi wo mohabbat hai meri wo wafa hai.

maine barson mangi jo rabse, wo wohi dua hai,
mera sabkuch us pe fida ussi pe qurban hai.

har dadhkan deti ussi ko bas sada hai,
wo ishare nahin samjhti, kitni nadaan hai.

dil ussi ko chahta hai, mann ko wohi aik bhaata hai,
lafzon se bata sakon main yeh nahin itna asaan hai.

shikwa hai mujhe uss se koi, na koi gila hai,
kabhi kabhi jo wo deta dil bhi dukha hai.

bechaniyon ko de qarar, wo dard-e-dil ki dwa hai,
main sans le sakon jiss mein wo mere liye aisi hawa hai.

tum bhi kitny pagal ho kitny masoom ho umer,
alfaz dhoond rahiy ho batane ko, ke wo tere liye kya hai