Wo Sabse Alag Hai, Sabse Juda Hai
Wo sabse alag hai, wo sabse juda hai,
wo meri duniya hai wo mera jahan hai,
main zameen hon, wo mera asman hai,
main jidhar dekhta hon wo har jagah hai.
wo hai tohar tarf khushi ka samaa hai,
bin uske chayi rehti har soo kaali ghata hai.
sochta usse kaise bataon, kaise dikhaon,
mere liye zameen pe wo roop-e-khuda hai.
wo bhi chahta mujhe behad bepanah hai,
meri bhi wo mohabbat hai meri wo wafa hai.
maine barson mangi jo rabse, wo wohi dua hai,
mera sabkuch us pe fida ussi pe qurban hai.
har dadhkan deti ussi ko bas sada hai,
wo ishare nahin samjhti, kitni nadaan hai.
dil ussi ko chahta hai, mann ko wohi aik bhaata hai,
lafzon se bata sakon main yeh nahin itna asaan hai.
shikwa hai mujhe uss se koi, na koi gila hai,
kabhi kabhi jo wo deta dil bhi dukha hai.
bechaniyon ko de qarar, wo dard-e-dil ki dwa hai,
main sans le sakon jiss mein wo mere liye aisi hawa hai.
tum bhi kitny pagal ho kitny masoom ho umer,
alfaz dhoond rahiy ho batane ko, ke wo tere liye kya hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment