Wednesday

Beetay dinon k dasht se aati sada hoon main

Beetay dinon k dasht se aati sada hoon main
Ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main


Hoon to tere jism ka saya hi kia hua
Bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main


Kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa
Beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main


Yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar
Har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main


Jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya
Kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main


Ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi
Ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main



Lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o dar
Kuch yoon tere khayal main dooba hua hoon main

1 comment: