Zindagi main har dam Hastey Raho ,
Hasna Zindagi ki Zarurat hai ,
Zindagi ko is Andaz Main
Jiyo Ki Dekh Kar Log kahey
Ki Zindagi Kitni Khubsurat hai !!!!!!!
Zindagi Sagar hai ,
Dost Laher Hai ,
aur Dil Kinara .
Ye Zaroori nahi................
K Sagar me Kitni Lehren hai ,
Zaroori ye hai k kaun
si Leher Kinarey Ko Chuti Hai !!!!!!!
Wednesday
Apni Yaadein apni Batain lay k jana Bhool Gaya

Janay wala jaldi main tha mil kay jana bhool gaya
Mur mur kay yun dekh raha tha jatay jatay rastay main
jaise us nay kehna tha jo wo kehna bhool gaya
Waqat-e-Rukhsat mery ankhain pohanch raha tha Hathon Say
Us ko Gham tha itna ziada khud wo Rona Bhool gaya.

|
Mohabbat mein to kehate hai sab main tod laoonga chand bhi
AAO CHAAND MEIN GHAR BASAYE
=================================================
Mohabbat mein to kehate hai sab main tod laoonga chand bhi
Lekin main kehata hoon sanam chalo hum ghar basaye chaand mein
Socho zara kaisa hoga woh aalam jab chaand mein hoga apna ghar
Jahan koi na ho dushman mohabbat ke aur na humko kisi ka bhi darr
Sochta hoon main sanam kaisa hoga apna ghar chaand mein
Jahan par honge sirf main aur tum aur koi na ayega humein taakne
Socho zara kaisa hoga woh alam jab rahenge hum ek duje ki baahon mein
Kaisa hoga sanam woh alam jahan honge na koi dushman pyaar ke
Duniya ke liye to aati hai mahine mein ek din amavas ki raat bhi
Lekin sanam hamare jeevan mein phir kabhi amavas ki raat hi na aayegi
Har raat apni hogi punam ki jab humtum madhosh ho jayenge
Bas ek duje ki baahon mein lete hum prem ke geet gun gunayenge
Socho zara kya sochenge duniya wale jab woh dekhenge chand ko ek chand mein
Chand bhi sharma jaayega sanam dekh kar chand sa mukda tera
Taare sab kehate rahenge na jaane kahan chali gayee hamari roshni
Roshni hamari ghum ho gayee hai jab se chand mein aayi hai chand si ek pari
Humko abhi na zarurat hai holi ki na zarurat hai humein diwali ki
Bas agar zarurat hai kisi ki to woh hai ek duje ke saath ki
Jab tum rahoge saath mere har din hoga holi aur raat diwali ki
Bas sanam tera saath jo mile to main samjhoonga meri kismat khil gayee

Yaar Teri Yaari Mein Chut Gaya Khuda Bhee

Din Bhee Ghar Barr Bhee Aur Khud Pe Ikhtiar Bhee
Dost To Chut Hi Gaye Thay Rooth Gaye Ab Aap Bhee
Reh Ke Ik Tanha Main Lo Maine Bhee Haar Maan Lee
Ab Raat Hai Tanhaai Hai Ghum Hai Uski Gehraai Hai
Sab Bhool Gaye Kuch Yaad Nahi Mit Gaya Har Khyal Bhee
Us Pe Khuda Ka Zulm Dekho Neend Na Aai Aaj Bhee
Mudat Se Hina Ko Aas Hai Poora Ho Ga Khwab Kabhie

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai

Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

Tum Kehti Ho Mujhay.
Tum Kehti Ho Mujhay....
Phoolon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain To Unhain Tehni Say Tor Dalti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?
Magar Jab Baarish Hoti Hai To Chuppti Phirti Ho....
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Hawa Chalti Hai Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho...
Phir Us Waqt....
Main Khof Zada Sa Ho Jata Hoon Jab Tum.....
Mujh Se Kehti Ho Mujhay Tum Say Pyar Hai.....

Wo Sabse Alag Hai, Sabse Juda Hai
Wo Sabse Alag Hai, Sabse Juda Hai
Wo sabse alag hai, wo sabse juda hai,
wo meri duniya hai wo mera jahan hai,
main zameen hon, wo mera asman hai,
main jidhar dekhta hon wo har jagah hai.
wo hai tohar tarf khushi ka samaa hai,
bin uske chayi rehti har soo kaali ghata hai.
sochta usse kaise bataon, kaise dikhaon,
mere liye zameen pe wo roop-e-khuda hai.
wo bhi chahta mujhe behad bepanah hai,
meri bhi wo mohabbat hai meri wo wafa hai.
maine barson mangi jo rabse, wo wohi dua hai,
mera sabkuch us pe fida ussi pe qurban hai.
har dadhkan deti ussi ko bas sada hai,
wo ishare nahin samjhti, kitni nadaan hai.
dil ussi ko chahta hai, mann ko wohi aik bhaata hai,
lafzon se bata sakon main yeh nahin itna asaan hai.
shikwa hai mujhe uss se koi, na koi gila hai,
kabhi kabhi jo wo deta dil bhi dukha hai.
bechaniyon ko de qarar, wo dard-e-dil ki dwa hai,
main sans le sakon jiss mein wo mere liye aisi hawa hai.
tum bhi kitny pagal ho kitny masoom ho umer,
alfaz dhoond rahiy ho batane ko, ke wo tere liye kya hai

Sahi Nahin Jati Mujhse
Sahi Nahin Jati Mujhse
Sahi nain jati mujhse
chehre pe uske udasi,
sans ho jati hai lena mushkil
dil mera doob jata hai,
mujhe khud bhi nahin pata
na maine socha kabhi,
mujhe uss deewane pe
kyon itna pyar ata hai,
nahin dekhi jati mujhse
zara si nami uski nigahon mein,
kuch bhi accha nahin lagta
aise mein mujhe koi nahin bhata hai,
koi mujhe zakhm pe zakhm
bhi jo laga le to ghum nahin,
berukhi se uska koi naam bhi le
falk tak mera mann ansoo bahata hai,
de ke zara si khushi
labon ko mere zara si hansi,
ae mere rab tu mujhe
kya khoob aazmata hai
Sahi nain jati mujhse
chehre pe uske udasi,
sans ho jati hai lena mushkil
dil mera doob jata hai,
mujhe khud bhi nahin pata
na maine socha kabhi,
mujhe uss deewane pe
kyon itna pyar ata hai,
nahin dekhi jati mujhse
zara si nami uski nigahon mein,
kuch bhi accha nahin lagta
aise mein mujhe koi nahin bhata hai,
koi mujhe zakhm pe zakhm
bhi jo laga le to ghum nahin,
berukhi se uska koi naam bhi le
falk tak mera mann ansoo bahata hai,
de ke zara si khushi
labon ko mere zara si hansi,
ae mere rab tu mujhe
kya khoob aazmata hai
yunhi be sabab na phira karo,
yunhi be sabab na phira karo,
koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitaab hai,
isa chupke chupke parha karo
koi hath bhi na milaay gaa ,
jo gale miloo ge tapak se
ye naye mizaj ka shaher hai,
zara fasle se mila karo
abhi rah main kai morh hain ,
koi aay ga koi jaay gaa
tumhain jis ne dil se bhula diya,
use bholne ki dua karo
mujhe ishtihar si lagtee hain,
ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahi woh suna karo,
jo suna nahi woh kaha karo
kabhi husan parda nasheen bhi ho,
zara ashqana libaas main
jo main ban sawar kay kahein chaloon,
mere sath tum bhi chala karo
nahi be hijab woh chand sa,
ke nazar ka koi asar na ho
ise itne garme-e-shoq say baree der tak na taka karo
ye khizan ki zard si shaam main,
jo udaas perh kay paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai ,
ise ansoouon se hara karos

Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
Tumhara ishq tumhari wafa hi kaafi hai
tamam umr yahi aasra hi kaafi hai ...
Jahan kahin bhi milo, mil ke muskura dena,
khushi ke wastey yeh silsila hi kafi hai ..
Mujhe bahar ke mausam se kuch nahi lena,
tumhare pyar ki rangeen fiza hi kafi hai ..
yeh log konsi manzil ki baat karte hain
musaafiron ke liye to raasta hi kafi hai..

Diye Umeedon kay Bujha gaya hai koi
Diye Umeedon kay Bujha gaya hai koi
Andhery Zindagi mein Barha gaya hai koi
Lafzon ka Intikhab Kabhi itna Mushkil na tha
Sochoon par bhi Pehrry laga gaya hai koi
Dil kay Singhasan par Brajman hokar
Meri Zindagi par Hukoomat kar raha hai koi
Zeest ka safar itna Kathin na tha kabhi
Manzil kay Nishan bhi Mita gaya hai koi
Ujar rasty par Tooti Deewar kay Sayyee Tally
Pathrai Ankhon se Tera Intizar kar raha hai koi

Us ne sukuut-e-shab men bhi apanaa payaam rakh diyaa

Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
Aamad-e-dost ki navid kuu-e-vafaa men aam thi
Main ne bhi ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
Dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
Main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa
Us ne nazar nazar men hi aise bhale suKhan kahe
Main ne to us ke paanon men saaraa kalaam rakh diyaa
Shiddat-e-tishnagi men bhi Gairat-e-maikashi rahi
Us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
Aur `Faraz` chaahiye kitani muhabbaten tujhe
Ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa

mera kalam nahin tajabi us muballis ki
mera kalam nahin tajabi us muballis ki
jo bandigi ka bhi haradam hisab rakhata hai
mera kalam nahin mijan aise aadil ki
jo apane chehare par dohara naqab rakhta hai
mera kalam to amanat hai mere logon ki
mera kalam to adalat mere zamir ki hai
isiliye to jo likha shafaq-e-jaan se likha
zabin to loch kaman ka jaban teer ki hai
main kat giroon ki salamat rahoon yakin hai mujhe
ki ye hisar-e-sitam koyee to girayega

Suna hai laug ussay aankh bhar ke dekhtey hain,

So uss k shehr main kuch din theher k dekhtey hain
Suna hai rabt hai uss ko kharaab haalo'n se,
So apney aap ko barbaad ker ke dekhtey hain
Suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naaz uski,
So hum bhi uss ki gali se guzar k dekhtey hain..
Suna hai usko bhi hai sher-o-shaiyrii se shughaf,
So hum bhi mau'jzay apney hunar ke dekhtey hain
Suna hai bolay to baaton se phool jhartey hain,
Ye baat hai to chalo baat ker ke dekhtey hain
Suna hai raat ussey chaand takta rehta hai,
Sitaarey baam-e-falak se utar ke dekhtey hain..
Suna hai din ko usay titliaa'n sataati hain,
Suna hai raat ko jugnoo theher ke dekhtey hain
Suna hai hashr hain uss ki ghazal si aankhain,
Suna hai uss ko hiran dasht bhar ke dekhtey hain...
Siyaah chashm to dekhay hain per na aisay bhi,
K uss ko surma farosh aah bhar ke dekhtey hain
Suna hai uss ke labo'n se gulaab jaltey hain,
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtey hain
Suna hai aaina tamsaal hai jabee'n uski,
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtey hain
Suna hai jab se hamaail hain uss ki gardan main,
Mizaaj aur hi la'al-o-gohar ke dekhtey hain.
Suna hai chashm-e-tasawwar se dasht-e-imkaa'n mein,
Palang zaaviye uss ki kamar ke dekhtey hain
Suna hai uss k badan ki taraash aysii hai,
Ke phool apni qaba'ain kutar ke dekhtey hain
Wo sar-o-qad hai magar be-gul-e-muraad nahi,
Ke us shajar pe shagoofey samar ke dekhtey hain.
Nazar uthey to ye samjho k deen-o-dil to gaye,
So rehrawaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtey hain..
Rukay to gardishain uss ka tawaaf kerti hain,
Chaley to uss ko zamaaney theher ke dekhtey hain
Kahaniyaa'n hi sahi,sab mubaalghey hi sahi,
Agar woh khawaab hai,ta'abeer ker ke dekhtey hain
Kisay naseeb ke be-pairhan ussay dekhey,
Kabhi kabhaar,dar-o-deewaar ghar ke dekhtey hain.
Ab uske shehr mein tehrain k kooch ker jaayin,
Faraaz! aao sitaarey safar ke dekhtey hain....!

Guzre hue taweel zamaane k baad bhi
Guzre hue taweel zamaane k baad bhi
Dil mein raha vo chhor k jaane k baad bhi..
Pehloo mein reh k dil nai diya hai bohat faraib
Rakha hai us ko yaad bhulaane k baad bhi..
Go tu yahan nahi hai magar tu yaheen pe hai
Tera he zikr hai teray jaane k baad bhi...
Lagta hai kuch kaha he nahi hai usay Faraz
Dil ka tamaam haal sunaane k baad bhi...!!

Sakoon-e-jaan ke liye ab dua kaisay karoon

Dard jab us ne diya hai tu gila kaisay karoon
Aksar manzil se lota hoon yehi soch kar mein
Ab mukamil yeh safar us ke bina kaisay karoon
Thi koi meray hi hathon ki lakeeron mein kami
Apni taqdeer ka ab us se gila kaisay karoon
Ab munasib hai yehi us ko bhula doon
Haan magar phool ko khushboo se juda kaisay karoon

Fir kisi yaad ne shab bhar hai jagaaya mujhko,

Kya sazaa di hai mohabbat ne khudaaya mujhko,
Din ko aaraam hai na raat ko hai chain kabhi,
Jaane kis khaak se qudrat ne banaaya mujhko,
Dukh to ye hai ke zamaane mein mile gair sabhi,
Jo milaa hai woh milaa banke paraaya mujhko,
Jab koi bhi naa rahaa kandhaa mere rone ko
Ghar ki deewaro ne seene se lagaaya mujhko,
Yu to umeed-e-wafa tumse nahi hai koi,
Phir chiragho ki tarah kisne jalaaya mujhko,
Bewafa zindagi ne jab chhod diya hai tanhaa,
Maut ne pyaar se pehlu mein bithaaya mujhko,
Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaaya tha kabhi,
Gham ki andhi ne sar-e-sham bujhaaya mujhko,
kaise bhoolunga wohi wasl ke lamhe,
Yaad aata raha zulfon ka hi saaya mujhko

Beetay dinon k dasht se aati sada hoon main

Ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main
Hoon to tere jism ka saya hi kia hua
Bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main
Kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa
Beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main
Yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar
Har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main
Jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya
Kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main
Ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi
Ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main
Lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o dar
Kuch yoon tere khayal main dooba hua hoon main

Subscribe to:
Posts (Atom)